Urdu Shayari by Hasrat Mohani
♥
Aql se hasil hui kya kya pashemani mujhe
Ishq jab dene laga taleem-e-nadaani mujhe
Pashemani = sharmindagi
Ranj degi baagh-e-rizvaaN ki tan-aasani mujhe
Yaad aayega tera lutf-e-sitam-raani mujhe
Ranj = Gham | baagh-e-rizvaaN = Garden of Paradise | tanaasani = rahat
lutf e sitamraani = zulm ka maza
Meri janib hai mukhatib khaas kar wo chashm-e-naaz
Ab to karni hi padegi dil ki qurbani mujhe
Mukhaatib = Addressing / sanbodhit | Chashm = Aankh
Dekh leta ab kahin aakar jo vo ghaflat shiaar
Kis qadar ho jaaye mar jaane mein aasani mujhe
Ghaflat shiaar = ghafil/beparwah/bholne waala
Be naqaab aane ko hai maqtal mein wo beshak magar
Dekhne kaaheko degi meri hairaani mujhe
Maqtal = QatalKhana
Sekadon aazadiyan is qaid par “Hasrat” nisaar
Jis ke baa’is kehte hein sab un ka zindaani mujhe
Baais = karan/wajah se | Zindaani = Qaidi
Urdu Shayari♥Urdu Shayari
More urdu shayari by Hasrat Mohani
Mazeed: Hasrat Mohani





