Manzar Bhopali
MANZAR BHOPALI URDU MUSHAIRA VIDEO
Free Download Manzar Bhopali Mushaira 2013 MP3
in this video
[Read more…] about Manzar Bhopali Mushaira 2013 | Video






The Grand Collection of Great Urdu Poetry / Shayari
Manzar Bhopali
Free Download Manzar Bhopali Mushaira 2013 MP3
in this video
[Read more…] about Manzar Bhopali Mushaira 2013 | Video
-: Manzar Bhopali :-
*
Dil hai hire ke kani jism gulabon waala
Mera mahbub hai dar-asl kitabon waala
*
Husn hai, rang hai, shokhi hai, ada hai us mein
Ek hai jaam magar kitni sharabon waala
*
Mujh se hogi nahi duniya, ye tijarat dil ki
Main karun kya ke mera zahen hai khwabon waala
*
Tu rahega na tere zulm rahenge baqi
Din to aana hai kisi roz hisabon waala
*
Husn-e-bebaak se ho jati hain aankhen roshan
Dil mein utara hai magar ruup hijabon waala
*
Jo nazar aata hai hasil nahi hota ‘manzar’
Zindagaani ka safar bhi hai sarabon* waala
*Sarab = Mirage
*
(Manzar Bhopali)
<<->>
Zaban-e-hind hai urdu to mathe ki shikan kyun hai
Watan mein be-watan kyun hai
*
Meri mazalum urdu teri sanson mein ghutan kyun hai
Tera lahaja mahakata hai to lafzon mein thakan kyun hai
agar tu phool hai to phool mein itni chubhan kyun hai
Watan mein be-watan kyun hai
*
Ye “nanak” ki ye “khusro” ki “daya shankar” ki boli hai
Ye divali ye baisakhi ye id-ul-fitr holi hai
Magar ye dil ki dhadakan aj kal dil ki jalan kyun hai
Watan mein be-watan kyun hai
*
Ye nazoN se pali thi “meer” ke “galib” ke aangan mein
Jo suraj ban ke chamaki thi kabhi mehlon ke daman mein
Wo shahzaadi zabanoN ki, yahan be-anjuman kyun hai
Watan mein be-watan kyun hai
*
Muhabbat ka sabhi elaan kar jate hain “mehfil” mein
Ke is ke waaste jazba hai ham-dardi ka har dil mein
Magar haq mangane ke waqt ye beganapan kyun hai
Watan mein be-watan kyun hai
*
Ye doshiza jo bazaron se ithalati guzarati thi
Labon kI nazuki jis ki gulabon si bikharati thi
Jo tahazibon ke sar ki odhani thi ab kafan kyun hai
Watan mein be-watan kyun hai
*
Muhabbat ka agar dawa hai to is ko bachao tum
Jo wada kal kiya tha aaj wo wada nibhao tum
Agar tum “raam “ho to phir ye “ravan” ka chalan kyun hai
watan mein be-watan kyun hai
<<->>
(Manzar Bhopali)
<<->>
Badalate waqt kaa ik sil_silaa saa lagataa hai
Ke jab bhii dekhoN use dusaraa saa lagataa hai
*
Tumhaara husn kisi aadami kaa husn nahin
Kisi buzurg ki sachchi duaa saa lagataa hai
*
Teri nigaah ko tamiize rang-o-nuur kahaa.N
Mujhe to Khuun bhi rang-e-hinaa saa lagataa hai
*
Damaagh-o-dil hon agar mutmain to chhaaoN hai dhup
Thapedaa luu kaa bhi thandi hawaa saa lagataa hai
*
Tumhaara haath jo aayaa hai haath men mere
Ab aitabaar kaa mausam haraa saa lagataa hai
*
Nikal ke dekho kabhi nafaraton ke pinjare se
Tamaam shahar kaa “Manzar” khulaa saa lagataa hai
<<->>