Bikhre Moti
<<->>
Ye saara jism jhuk kar bojh se dohra huwa hoga
Main sajde mein nahi tha, aapko dhoka huwa hoga
*
Yahan tak aate-aate sookh jati hain kai nadiyan
Mujhe maloom hai paani kahan thehra huwa hoga
*
Gazab ye hai ki apni maut ki aahat nahi sunte
Wo sab-ke-sab parishan hain wahan par kya huwa hoga
*
Kaeii faaqe bitakar mar gaya, jo uske baare mein
Wo sab kehte hain ab, aisa nahi, aisa huwa hoga
*
Yahan to sirf goonge aur behre log baste hain
Khuda jaane yahan par kis tarah jalsa huwa hoga
*
Chalo, ab yadgaaron ki andheri kothri kholeN
Kam az kam ek wo chehra to pehchana huwa hoga
*
Poet: Dushyant Kumar
*





