Janab sohail ahmed azizi sahab ki daastaan e hayaat, haalaat o waaqiat, takaleef aur jadd o jihad ki daastaan, Janaab azizi sahab ki apni zubani.






The Grand Collection of Great Urdu Poetry / Shayari
Akhtar Shumaar Shayari
♥
Us ke nazdeek gham-e-tark-e-wafa kuchh bhi nahin
Mutmain aisa hai wo, jese hua kuchh bhi nahin
♥
Ab to haathon se lakeerain bhi miti jaati hai
Us ko kho ker to mere paas raha kuchh bhi nahin
♥
Kal bicharrna hai to phir ehd-e-wafa soch ke baandh
Abhi aaghaaz-e-muhabbat hai gaya kuchh bhi nahin
♥
Main to is waaste chup hoon keh tamaasha n bane
Tu samajhta hai mujhe tujh se gila kuchh bhi nahin
♥
Chaar din reh gaye maile mein magar ab ke bhi
Us ne aane ke liye khat mein likha kuchh bhi nahin
♥
Aye “Shumaar” aankhain isi tar’ha bichaaye rakhna
Jaane kis waqt wo aa jaaye, pata kuchh bhi nahin
♥
Poet: Akhtar Shumaar
♥
by Admin 6 Comments
♥
WehshateN badhti gai hijr ke aazaar ke saath
Ab to ham baat bhi karte nahin ghamkhwar ke saath
Wehshat = Ghabrahat | Hijr = Tanhaai | Aazaar = Marz / Bimari
♥
Ab to ham ghar se nikalte hain to rakh dete hein
Taaq par izzat-e-saadaat bhi dastaar ke saath
Dastaar = Paghdi/Safaa
♥
Ek to khwaab liye phirte ho galiyon galiyo
Uspe takraar bhi karte ho khareedar ke saath
♥
Is qadar khauf hai us shehr ki galiyon mein, ke log
Chaap sunte hein to lag jaate hein deewaar ke saath
Chaap = Qadmon ki aahat
♥
Shehr ka shehr hi naaseh ho to kya kijiyega
Warna ham rind to bhidh jaate hein do chaar ke saath
Naaseh = Nasihat karne waala | Rind = Sharabi
♥
Ham ko us aehd mein tameer ka soda hai jahan
Log me’amaar ko chun dete hein diwaar ke saath
Tameer = Building / nirman | me’amaar = Architect / wastukar
♥
Jo sharaf ham ko mila koocha-e-jaana se “Faraz”
Soo-e-maqtal bhi gaye hain usi pindaar ke saath
koocha-e-jaana = mahboob ki gali | pindaar = guroor/garv
♥
Ahmad Faraz ki Shayari / Ghazal
Usne jab jab bhi mujhe dil se pukara mohsin
Mein ne tab tab yeh bataya ke tumhara mohsin
Log sadyon ki khataon pe bhi khush rhte hain
Humko lamhon ki wafaon ne ujada mohsin
Jab yaqiN aagaya ab wo nahin aayegaa
Gham aur anso ne diya dil ko sahara mohsin
Woh tha jab pas to jeene ko bhi dil karta tha
Ab to pal bhar bhi nahin hota guzara mohsin
Usko pana to muqadar ki lakeron men nahin
Uska khona bhi kareN kaisa gawaraa mohsin
*
Mein ne mitti se muhabbat ka sila manga tha
Is ka matlab ye nahin tha ke dabado mujhko
*
Naeii Tarah se nibhane ki dil ne thaani hai
Wagarna usse muhabbat bohot purani hai
*
Khuda wo din n dikhaaye ke mein kisi se sunu
Ke tu ne bhi gham-e-duniya se haar mani hai
*
ZameeN pe rehke sitare shikaar karte hein
Mizaaj ehl-e-muhabbat ka aasmaani hai
*
HameN aziz ho kyuNkar n shaam-e-gham, ke yahi
Bichharne waale teri aakhari nishani hai
*
Utar pade ho to darya se poochna kaisa
Ke sahiloN se udhar kitna tez paani hai
*
Bohot dinoN mein teri yaad aurhkar utri
Ye shaam kitni sunehri hai, kya suhani hai
***