♥ Waseem Barelvi ki Shayari ♥
♥
Apne har ek lafz ka khud aainaa ho jaaunga
Us ko chhota keh ke mein kaise bada ho jaaunga
♥
Tum girane mein lage the tum ne socha hi nahin
Mein gira to mas’ala bankar khada ho jaaunga
♥
Mujh ko chalne do, akela hai abhi mera safar
Raasta roka gayaa to qafila ho jaaunga
♥
Sari duniya ki nazar mein hai mera ahd-e-wafa
Ek tere kehne se kya main be-wafa ho jaaunga?
♥
Mazeed : Kalam-e-Waseem Barelvi





