We would be extremely happy if you would tell others by pressing the share button below.
(( Kalam-e-Shakeel Badayuni ))
♥♥♥♥♥
Gam-e-aashiqi se kah do raah-e-aam tak n pahonche
Mujhe Khauf hai ye tohamat, mere naam tak n pahonche
♥
Main nazar se pee rahaa tha to ye dil ne bad-duaa di
Tera haath zindagi bhar kabhi jaam tak n pahonche
♥
Nai subah par nazar hai magar aah ye bhi Dar hai
Ye sahar bhi rafta rafta kahin shaam tak n pahonche
♥
Woh navaa-e-muzamahil kyaa na ho jis mein dil ki dhadakan
Woh sadaa-e-ahale-dil kyaa jo awaam tak n pahonche
♥
UnheN apane dil ki KhabareN mere dil se mil rahi hain
Main jo unase rooth jaauN to payaam tak n pahonche
♥
Ye adaa-e-beniaazi, tujhe bewafaa mubaarak
Magar aysi berukhi kya, ke salam tak n pahonche
♥
Jo naqaab-e-rukh uthaa ya, to ye qaid bhi lagaa di
Uthe har nigah lekin, koi baam tak n pahonche
♥
Wo kh’moshiyoN ka nagmaa, hai “Shakeel” jaan-e-hasti
Jo zubaan tak n aaye jo kalaam tak na pahonche
♥♥♥
(click here for more kalam-e-shakeel badayuni)







Awessome____Bahot Hi Umda ghazal Hai Sir Ji___jhut kahte Hai log ki Aap Nazm Likhte Hai___Qki mere liye Aap Kaariigarii karte ho nazm ki Ghazal ki___likhna toh Bahot Hi Chhotaa Word Ho Gya Sir__ise toh kaarigari kahenge___
We have the tendency to praise foreigners in almost every field but people like Sahir Ludhianvi, Shaqeel Bandayuni, Rajindra Krishan, Anand Bakshi and Majrooh Sultanpuri prove that the best poets, shayars are only born in this soil. Baaki sab is bhautik duniya tak simte reh jaate hain par ye sabhi shayar us roohani jasbe se roobaru karvate hain jo asli haqiqat hai.