*
Hamein koi gham nahin tha, gham-e-aashiqi se pehle
N thi dushmani kisi se, teri dosti se pehle
*
Hai ye meri badnaseebi, tera kya qusoor is mein
Tere gham ne maar daala, mujhe zindagi se pehle
*
Meraa pyaar jal raha hai, are chaand aaj chhup ja
Kabhi pyaar tha hamen bhi, teri chaandni se pehle
*
Mein kabhi n muskurata, jo mujhe ye ilm hota
Ke hazaar gham milenge, mujhe ek khushi se pehle
*
Ye ajeeb imtehaN hai, ke tum hi ko bhoolna hai
Mile kab the is tarah ham, TumheN be-dili se pehle
*
By Fayyaz Hashmi







Shandar shayari hair,mujhe bhi sher air Gazal likhne ki kharab aadat h.
Bilkul waise hi jaise phool ko khushboo dene ki aadat hoti hai aur “parkash” ko jagmagane ki 🙂
Wais mujhe sher sunne aur padhne ki gandi aadat hai
hahaha.. aur mujhe sunane ki aur likhne ki 🙂