<< Daagh Dehelvi >>
<< = >>
Rashk-e-dushman bhi gawaara lekin
Tujh ko muztar nahin dekha jaataa
*
Ay pareshan nazr! kyun hai talaash
Dil ke nadar nahin dekha jaataa?
*
Dil mien kya khaak use dekh sakeN
Jis ko bahar nahin dekha jaataa
*
Taubah kebaad bhi khaali khaali
Koi saghar nahin dekha jaataa
*
Ham jahan hain wahin dekhenge tujhe
Ham se ghar ghar nahin dekha jaataa
*
Khat mera phenk diya ye keh kar
Ham se daftar nahiN dekha jaataa
*
Mukhtasar ye hai ke ab “daagh” ka haal
Bandah parwar..!! nahin dekha jaataa
*
(( Click here for more kalam-e-Daagh Dehelvi ))







Leave a Reply