Urdu Ghazal
Urdu Ghazal by Hasrat Mohani
♥
Aur bhi ho gaye begaana wo ghaflat* kar ke
Aazmaya jo unhen zabt-e-muhabbat* kar ke
Ghaflat = Laparwahi | Zabt-e-muhabbat = Muhabbat chhupana/bardasht karna
Dil ne chhora hai n chhore tere milne ka khayal
Baar-haa* dekh liya ham ne malamat* kar ke
Baarhaa = kain baar / bar bar | Malamat = daant-dapat / ninda / buraai
Dekhne aaye the wo apni muhabbat ka asar
Kehne ko hai ye ke aaye hain ayaadat* kar ke
Ayaadat = temardari / bimaar pursi
Dil ne paaya hai muhabbat ka ye aali rutba
Aap ke dard-e-dawa-kaar ki khidmat kar ke
Rooh ne paai hai takleef-e-judaai se najaat
Aap ki yaad ko sarmay-e-rahat kar ke
Chhed se ab wo ye kehte hain ke sambhlo “Hasrat”
Sabr o taab e dil e bimaar ko ghaarat kar ke
(bimaar ke sabr aur bardasht ko mita kar)
♥
Mazeed: Hasrat Mohani







Leave a Reply