Urdu Ghazal : Josh Malihabadi
♥
Kahan hai ham-zabaN ALLAH jane
Faqat meri zabaN hai aur main hun
♥
Khamoshi hai zameeN se aasmaN tak
Kisi ki daastaN hai aur main hun
♥
JahaN ek jurm hai yad-e-baharaN
Wo laafani khizaN hai aur main hun
♥
Tarasti hain kharidaroN ko aankheN
Jawahir ki dukaN hai aur main hun
♥
Mazeed: kalam-e-Josh Malihabadi
#Urdu Ghazal, #Urdu Shayari, #Shayri,







Leave a Reply