Urdu Ghazal By Aamir Surati
♥
Hawas ke roop mein jab zindagi nazar aai
Haseen ho ke bhi kitni buri nazar aai
♥
Nigaah-e-dost mein phir be-rukhi nazar aai
Zahe naseeb kuchh ummid si nazar aai
♥
Ye baat kya hai ke teri nigaah-e-lutf ke bad
Nazar nazar mujhe badli hui nazar aai
♥
Naseeb hoga kise ham-sa lutf-e-mahroomi
Wo aa gaye to khud apni kami nazar aai
♥
Hujoom-e-gham mein bhi phoole nahin samte ham
N jaane aysi hamein kya khushi nazar aai
♥
Qafas naseebon ke chehre ki ud gai ronaq
Chaman ki simt agar roshni nazar aai
♥
Khushi fareb-e-takhayyul hai aur kuchh bhi nahin
Wo khush rahe jinheN gham mein khushi nazar aai
♥
Nigaah-e-ghaur se dekha jo bazm-e-ishrat mein
Wo honth khushk the jin par hansi nazar aai
♥
Khuda ki shaan.! jinheN “Tuk” se wasta bhi nahin
Hamari baat unheN “Be-tuki” nazar aai
♥
Hui naseeb jise khidmat-e-khuloos-o-wafa
Wo zindagi mujhe nikhri huii nazar aai
♥
Khuloos-o-mehr ka dawaa tha jis ko aye “Aamir”
Karam mein us ki badi dushmani nazar aai
♥







Leave a Reply