Urdu Ghazal
Urdu Ghazal Ahmad Nadeem Qasmi
♥ ♥ ♥
Tujhe izhaar-e-muhabbat se agar nafrat hai
Tu ne honToN ko larazne se to rokaa hotaa
♥
Be-niyaazi se, magar kaaNpti aawaaz ke saath
Tu ne ghabraa ke mera naam n poochhaa hotaa
♥
Tere bas meN thi agar mash’al-e-jazbaat ki lau
Tere ruKhsaar meN gulzaar na bhaRkaa hotaa
♥
YuN to mujh se hui sirf aab-o-havaa ki baateN
Apne TuTe hue fiqroN ko to parkhaa hotaa
♥
YuN hi be-waj’h Thithakne ki zarurat kyaa thi
Dam-e-rukhsat main agar yaad n aayaa hotaa
♥
Tera ghammaz bana khud tera andaaz-e-khiraam
Dil na sambhlaa tha, to qadmoN ko sambhala hota
♥
Apne badle meri tasweer nazar aa jaati
Tu ne us waqt agar aainaa dekhaa hotaa
♥
Hoaslaa tujh ko na thaa mujh se judaa hone kaa
Warna kaajal teri aankhoN mein n phelaa hotaa
♥
( Click here for more kalam-e-Ahmed Nadeem Qasmi )







Leave a Reply