Urdu Shayari
Urdu Shayari | Ghazal
♥
Hairaton ke silsilay soz-e-nihaaN tak aa gaye
Hum to dil tak chahte the tum to jaaN tak aa gaye
soz-e-nihaaN = dil ki jalan/andar ki jalan
Apni Apni justaju hai apna apna shauq hai
Tum hansi tak bhi n pahonche ham fughaN tak aa gaye
Justaju = Talash | fughaN = rona chillana
Rafta rafta rang laya jazbaa-e-khaamoshi-e-ishq
woh taghaaful karte karte imtehaan tak aa gae
Taghaaful = उपेक्षा / Neglekt
Khud tumhein chaak-e-girebaaN ka shuoor aa jae ga
Tum wahan tak aa to jaao hum jahaN tak aa gaye
shuoor = samajh
♥
Mazeed : Bikhre Moti | FB Page






Leave a Reply