Urdu Shayri Saahil Qadri
♥
Kabhi shabnam ke qatron ko bhi tufaaN ka bhawanr samjha
Kabhi ankhon ne jugnu ko chirag-e-rehguzar samjhta
♥
Kabutar hamsafar ki justjoo mein chhat pe aaya tha
Mariz-e-ishq khud nikla jise mein namabar samjha
♥
Meri aankhon me dekha bhi to kya dekha are nadaN
Wo khoon-e-dil ka toofaN tha jise tu chashm-e-tar samjha
♥
Nazar pehlu ki janib jab padi to ye huwa zahir
GhamoN ka ek darya tha jise ab tak jigar samjha
♥
Hawadis ne mujhe chokanna itna kar diya “Saahil”
Wo dhadkan apne dil ki thi jise aawaaz-e-dar samjha
♥
Mazeed: kalam-e-Saahil Qadri







Leave a Reply