Urdu Shayri / Ghazal by Sahir Ludhyanvi
♥
Sang e mar-mar se tarasha huwa shaffaf badan
Itna dil-kash hai ke apnane ko jee chahta hai
♥
Surkh honton mein thirakti hai wo rangeen sharab
Jis ko pee kar ke bahek jaane ko jee chahta hai
♥
Narm seene mein dhadakte hein wo nazuk toofaan
Jin ki lehron mein utar jaane ko jee chahta hai
♥
Tum se kya rishta hai, kab se hai, maloom nahin
Lekin is husn pe mar jaan ko jee chahta hai
♥
Rakh le kal ke liye doosri paazeb ay dil
Kal is bazm mein phir aane ko jee chahta hai
♥
Bekhabar soye hain wo loot ke ninden meri
Jazb-e-dil pe taras khaane ko jee chahta hai
♥
Kab se khamosh ho ay jaan-e-jahan kuchh bolo
Kya abhi aur sitam dhaane ko jee chahta hai?
♥
Chhor kar tum ko kahan chain milega ham ko
Yahin jeen, yahin mar jaane ko jee chahta hai
♥
Apne haathon se sanwara hai tumhe qudrat ne
Dekh kar dekhte reh jaane ko jee chahta hai
♥
Mere daman ko koi aur n chhoo payega
Tum ko chhoo kar ye qasam khane ko jee chahta hai
♥
Chaand chehra hai tera, aur nazar hai bijli
Aik ek jalwe pe marjaane ko jee chahta hai
♥
Chaand ki hasti hi kya jab saamne suratj ho
Aap ke qadmon mein mit jaane ko jee chahta hai
♥
Mazeed : kalam e Sahir Ludhyanvi







Leave a Reply