Urdu Shayri
Urdu Shayri Khumar Barabankvi
♥
Aisa nahin ke un se muhabbat nahin rahi
Jazbaat mein wo pehli si shiddat nahin rahi
Zoaf-e-quwa ne aamad-e-peeri ki di naveed
Wo dil nahin raha wo tabiat nahin rahi
Sar men wo intezaar ka sauda nahin raha
Dil par wo dhadkanoN ki hukumat nahin rahi
Kamzori-e-nigah ne sanjeedah kar diya
JalwoN se chhed-chhaad ki aadat nahin rahi
Hathon se inteqam liya irtiaash ne
Damaan-e-yaar se koi nisbat nahin rahi
Paiham tawaaf-e-kooch-e-jaana ke din gaye
Pairon mein chalne phirne ki taqat nahin rhai
Chehre ko jhurriyon ne bhayanak bana diya
Aaina dekhne ki bhi himmat nahin rahi
Allah jaane maut kahan mar-gayi “Khumar”
Ab mujh ko zindagi ki zarurat nahin rahi
♥
Mazeed : Khumar Barabankvi







Leave a Reply