(Mohsin Naqvi)
*
Wo de raha hai dilaase to umar bhar ke mujhe
Bichharh n jaaye kahin woh udaas kar ke mujhe
*
JahaN n tu n teri yaad ke qadam honge
Dara rahe hein wahi marhale* safar ke mujhe
Marhale = Muqaam/Stage
*
Hwaa-e-dasht mujhe ab to ajnabee n samajh
Ke ab to bhool gaye raaste bhi ghar ke mujhe
Dasht = Veerana/biyabaan
*
Dil-e-tabaah tere gham ko taalne ke liye
Suna raha hai fsane idhar udhar ke mujhe
*
( Click here for more kalam-e-Mohsin Naqvi )







Tremendous ghazal of Naqvi sahab
Hasrat_e_khuld ne duniya kii mohabbat chheeni
Suqun_E_rooh zaraa sa naa milaa mar ke mujhe
.. ..
Uss ka Dil hatt gaya ab teri chaah se ‘shahreyar’
Suna raha hai bahaane zamaane bhar ke mujhe