Famous Urdu Shayari
*
Chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai
Ham ko ab tak aashiqi kaa wo zamaana yaad hai
*
Tujhase milate hi wo kuch Bebaak ho jaanaa meraa
Aur teraa daatoN mein wo Ungali dabaana yaad hai
*
Kheench lenaa wo meraa parde ka kona daf”atan*
Aur dupatte se teraa wo Moonh Chhupaana yaad hai
Daf’atan = Achanak
*
Gair ki nazroN se bachakar sab ki marzi ke khilaaf
Wo teraa chori chhupe raatoN ko aana yaad hai
*
Aa gaya gar* wasl* ki shab bhi kahin zikr-e-firaaq*
Wo teraa ro ro ke mujhako bhii rulaana yaad hai
Gar = Agar | wasl = milan | firaaq = judai
*
Do-pehar ki dhuup mein mere bulaane ke liye
Wo teraa kothe pe nange paaoon aana yaad hai
*
Chori chori ham se tum aa kar mile the jis jagah
Muddatein guzari, par ab tak wo thikaana yaad hai
*
Berukhi ke saath sunnaa dard-e-dil ki dastaaN
Aur teraa hathoon mein wo kangan ghumaana yaad hai
*
Waqt-e-rukhsat alvidaa kaa lafz kehne ke liye
Wo tere sukhe laboon kaa thar-tharaana yaad hai
*







Wah wah bahot dard hai kassam se
Maine Jb Bhi Kadam Teri ahiyane Pr Rakha…
kasham Khuda ki Tere husn ka Didar baldi fursat krta
Sochh agar Teri Bhi kash Meri Jesi hoti.
Tuu Mujse juda or Me Tujse juda ye Kahani Na hoti..
Tere Ghar me khushiya Chandi Ki tarha hoti/
Jb Bhi Me Tere pas Or Tu Meri Baahou Me Hoti