We would be extremely happy if you would tell others by pressing the share button below.
_________________
<< Amjad Islam “Amjad” >>
*******
Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gayaa
Woh shaKhs ek shaam meiN kitnaa badal gayaa
*
Kuch din to mera a’ks raha aai’ne pe naqsh
Phir yun huaa, ke khud miraa chehraa badal gayaa
*
Jab apne apne haal pe hum tum n’ reh sake
To kyaa huaa jo ham se zamana badal gayaa
*
QadmoN talay jo ret bichhi thi wo chal padi
Us ne chhuraya haath to sehra badal gayaa
*
Koyi bhi chiiz apni jagah par nahin rahi
jaate hi ek shaKhs ke, kyaa, kyaa, badal gayaa
*
Uth kar chalaa gayaa koi waqfe ke darmiyaaN
Pardaa uThaa to saara tamashaa badal gayaa
*
Hairat se saare lafz use dekhte rahe
BaatoN mein apni baat ko kaisaa badal gayaa
*
Kehne ko ek sehn mein deevaar hi bani
Ghar ki fazaa makaan ka naqsha badal gayaa
*
Shaayad wafa kay khel se uktaa gayaa tha woh
Manzil kay paas aake jo rasta badal gayaa
*
Qaayem kisii bhi haal pay duniya nahiN rahi
Ta’beer kho gayi, kabhi sapnaa badal gayaa
*
Manzar ka rang a’sl mein saaya tha rang kaa
Jis ne use jidhar say bhi dekhaa, badal gayaa
*
AankhoN meiN jitne ashk the jugnuu se ban gaye
Woh muskuraaya aur miri dunyaa badal gayaa
*
Apni gali meN apna hi ghar dhuuNDhte hain log
“Amjad” yeh kaun shehr ka naqsha badal gayaa
***
(( Click Here for More Kalaam e Amjad Islam Amjad ))







Most popular poet of shayr is amjad