( Manzar Bhopali )
≈≈≈
Zindagi ke liye itna nahin maangaa karte
Maangne waale se kaasa nahin maangaa karte
≈
Maalik-e-kuld se duniya nahin maangaa karte
Yaar daryaoN se qatra nahin maangaa karte
≈
Ham wo raahi hain, liye phirte hain sar par suraj
Ham kabhi pedho se saaya nahin maangaa karte
≈
Mein ne “Allah” se bas khaak-e-madeena mangi
Log apne liye kya kya nahin maangaa karte
≈
BetiyoN ke bhi liye haath uthao “Manzar”
Sirf “Allah” se betaa nahin maangaa karte
≈≈≈
Manzar Bhopali »






Leave a Reply