Funny Poetry Urdu
Ye baat samajh mein aai nahin, aur ammi ne samjhaai nahin
Mein kaise meethi baat karun? jab meethi chizeN khaai nahin
Aapa bhi pakati hai halwa, wo aakhir kyun halwaai nahin?
Bhayya ki mngni hui hai kal, kyun dulhan kal mangwaai nahin?
Ye baat samajh mein aai nahin…….
Nani ke miyaN jab nana hai, Dadi ke miyaN jab dada hain
Tab mein ne puuchha aapa se, baaji ke miyaN ka kya bajaa hain?
Wo hans hans kar yun kehne lagi, ay bhai nahin ay bhai nahin
Ye baat samajh mein aai nahin…….
Jab naya mahina aata hai, bijli ka bill aajata hai
HalaNke badal bechara, ye bjli muft lutata hai
Phir ham ne apne ghar bijli kyun badal se lagwaai nahin?
Ye baat samajh mein aai nahin…….
Gar billi sher ki khala hai, phir ham ne use kyun pala hai?
Kya sher bohot na-laiq hai, khala ko maar nikala hai?
Yaa jangle ke raja ke yahaN, kya milti doodh malaai nahin?
Ye baat samajh mein aai nahin…….
Kyun lambe baal hai bhalu ke?, kyun us ki tind kraai nahin?
Kya wo bhi ganda bachcha hai? yaa us ke abbu, bhaai, nahin?
Ye us ka hairstyle hai? ya jangle mien koi naai nahin?
Ye baat samajh mein aai nahin…….
Jo taare jagmag karte hein, kya un ki chaachi, taai nahin?
Hoga koi rishta suraj se? ye baat hamen batlaai nahin
Par chaand ye kiska mamu hai? jab ammi ka wo bhaai nahin?
Ye baat samajh mein aai nahin, aur ammi ne samjhaai nahin
Mein kaise meethi baat karun? jab meethi chizeN khaai nahin






its a gud post.. shayad kisi ko samajh aayi nahin