-: Jan Nisar Akhtar :-
***
Har ek rooh men ek gham chhupaa lage hai mujhe
Ye zindagi to koi bad-duaa lage hai mujhe
*
Jo aansuon men kabhi raat bhig jaati hai
Bohut qareeb wo aawaaz-e-paa* lage hai mujhe
Aawaaz e paa = qadmon ki aawaaz
*
Main so bhi jaauun to kyaa meri band aankhon me
Tamaam raat koii jhaanktaa lage hai mujhe
*
Main jab bhi uske khayaalon men kho-saa jaataa hun
Wo Khud bhi baat kare to buraa lage hai mujhe
*
Dabaa ke aai hai seene men kaun si aaheN
Kuchh aaj rang teraa saanwlaa lage hai mujhe
*
N jaane waqt ki raftaar kyaa dikhaati hai
Kabhi kabhi to bdaa Khauf saa lage hai mujhe
*
Bikhar gayaa hai kuchh is tarha aadmi kaa wujood
Har ek fard koi saanehaa* lage hai mujhe
Saanehaa = Haadsa
*
Ab, ek-aadh qadam ka hisaab kyaa rakhiye
Abhi talak to wahii faaslaa lage hai mujhe
*
Hikaayat-e-gham-e-dil* kuchh kashish to rakhti hai
Zamaana Ghaur se suntaa huaa lage hai mujhe
Hikaayat-e-gham-e-dil = Dil ke gham ki kahani
***
(( Click here for more Kalam-e-JaaN Nisar Akhtar ))






Leave a Reply