-: Jan Nisar Akhtar :-
Zamana aaj nahin Dagmagaa ke chalne kaa
Sambhal bhi jaa ke abhi waqt hai sambhalne kaa
*
Bahaar aaye chali jaaye phir chali aaye
Magar ye dard ka mausam nahin badalne kaa
*
Ye Thiik hai ki sitaaroN pe ghoom aaye hain
Magar kise hai saleeqa zameeN pe chalne kaa
*
Phire hain raaton ko aawaara ham, to dekha hai
Gali gali me samaaN chaand ke nikalne kaa
*
Tamaam nashaa-e-hasti tamaam kaif-e-wujood
Wo ayk lamhaa tere jism ke pighalne kaa
*
(( Click here for more Kalam-e-JaaN Nisar Akhtar ))







Leave a Reply