<< By Jan Nissar Akhtar >>
*
Zara si baat pe har rasm tod aaya tha
Dil-e-tabaah ne bhi kyaa mizaaj pyaya tha
*
Muaaf kar n saki meri zindagi mujh ko
Wo aik lamha ke main tujh se tang aaya tha
*
Shaguftah phool simat kar kali bane jaise
Kuch is taraah se tuune badan churaya tha
*
Guzar gaya hai koi lamha-e-sharar ki tarah
Abhi to main use pehchhan bhi n paya tha
*
Pata nahin ke mere baad unpe kya guzri
Main chand khwaab zamane mein chhoor aaya tha
*
(( Click here for more Kalam-e-JaaN Nisar Akhtar ))







karim
Hummmmm!!! Good