#Daagh #Urdu #Shayari
♥
Taubah hai haseenoN ko gar paas-e-wafaa hota
Kya jaaniye kya karte, kya jaaniye kya hota
♥
Saaqi teri mehfil mein charchaa hi nahin may ka
Is se to ye behtar tha, kuchh zikar-e-khuda hota
♥
Dil ne mujhe tadpaya, aankhoN ne kiya ruswaa
ApnoN se huwa ye kuch, begaanoN se to kya hota
♥
GairoN ki shikayat par, furqat* ki hikaayat* par
Gar tum n khafaa hote, to kon khafaa hota
Furqat = Judaai | Hikayat = Kahani
♥
Mehfil mein sunaya tha, afsaan-e-gham mein ne
ilzaam ye rakkhaa hai, khalwat* mein kaha hota
khalwat = tanhaai
♥
Faryaad-o-fugaaN* se tum ay “daagh” bure thehre
Kuchh bhi n kiya hota, kuchh bhi n huwa hota
FugaaN = Rona/Chillana
♥
Mazeed: kalam-e-Daagh Dehelvi





