<< Daagh Dehelvi >>
<< = >>
Wa’ade pe intezaar kiya, ham ne kya kiya
Jhoothe ka aitebaar kiya, ham ne kya kiya
*
HaaN haaN, tadap tadap ke guzari tum hi ne raat
Tum ne hi intezaar kiya, ham ne kya kiya?
*
Itra raha hai naqd-e-muhabbat* pe dil bohot
Auchhe ko maldaar kiya, ham ne kya kiya
*naqd e muhabbat = Muhabbat ki Dolat
*
Kya farz tha ke sabar hi karte firaaq mein
Kyun jabar ikhtiyaar kiya, ham ne kya kiya
*
Khete hain woh shikayat-e-bedaad-o-jor* par
Tujh ko khuda ne khwaar kiya, ham ne kya kiya
*bedaad-o-jor = zulm o sitam
*
Naseh* bhi hai raqeeb, ye ma’aloom hi n tha
Kis ko slahkaar kiya, ham ne kya kiya
*Naseh = Nasehat karne wala
*
Pehle to munfail* wo huwe phir bigad gaye
Kyun shikwah baar-baar kiya, ham ne kya kiya
*Mun-fail = Sharmindah
*
Keh-denge ham to dawar-e-mehshar* se saaf saaf
AchchhoN ko dil ne pyaar kiya, ham ne kya kiya
*dawar-e-mehshar = Hashr/Qayamat ke din ka malik / Allah
*
Ruswa kiya jo dil ne to ab keh rahe hen “daagh”
Dushman ko raaz-daar kiya, ham ne kya kiya
*
(( Click here for more kalam-e-Daagh Dehelvi ))





