Allama Iqbal
Urdu nazam “Husn Aur Zwaal” (allama iqbal r.h.)
Khuda se husn ne ek roz ye swaal kiya
JahaN mein kyun n mujhe tuu ne lazwaal kiya
Mila jawaab ke tasweer khaana hai duniya
Shab-e-draaz-e-adam ka fasana hai duniya
Hui hai rang-e-taghayyur se jab namood is ki
Wahi haseen hai, haqeeqat zwaal hai jiski
Kahin qreeb tha ke ye guftgu qamar ne suni
falaq pe aam hui, akhtar-e-sahar ne suni
Sahar ne tare se sun kar suaai shabnam ko
Falaq ki baat bata di zameeN ke mahram ko
Bhar aaye phool ke aansoo pyaam-e-shabnam se
Kali ka nanha sa dil khoon ho gaya gham se
Chaman se rota huaa mosam-e-bahaar gaya
Shabaab sair ko aaya tha, sogwaar gaya
Mazeed : Bikhre Moti | Editors Picks | Nazam | FB Page





