Rahat Indori
♥
ZubaN to khol, nazar to mila, jawaab to de
Mein kitni baar lutaa hun, mujhe hisaab to de
♥
Tere badan ki likhawat mein hai utaar chadhaau
Mein tujh ko kaise padhunga mujhe kitaab to de
♥
Mazeed: Rahat Indori






The Grand Collection of Great Urdu Poetry / Shayari
by Admin 2 Comments
♥
ZubaN to khol, nazar to mila, jawaab to de
Mein kitni baar lutaa hun, mujhe hisaab to de
♥
Tere badan ki likhawat mein hai utaar chadhaau
Mein tujh ko kaise padhunga mujhe kitaab to de
♥
Urdu Mazahiya Shayari
♥
Paas hai wade ka bhi, ulfat ka bhi iqraar hai
Phir bhi milne ko mera aana bohot dushwar hai
♥
Gas aur petrol ki is load shedding ke tufail
Bus bhi be-bus ho chuki hai car bhi be-car hai
♥
Dr Inam ul Haq Javed
♥
پاس ہے وعدے کا بھی، الفت کا بھی اقرار ہے
پھر بھی ملنے کو میرا آنا بہت دشوار ہے
♥
گیس اور پیٹرول کی اس لوڈ شیدڈنگ کے طفیل
بس بھی بےبس ہوچکی ہے، کار بھی بیکار ہے
♥
ڈاکٹر امام الحق جاوید
♥
पास है वादे का भी, उल्फत का भी इक़रार है
फिर भी मिलने को मेरे आना बहोत दुश्वार है
♥
गैस और पेट्रोल की इस लोड शेडिंग के तुफैल
बस भी बेबस हो चुकी है, कार भी बेकार है
♥
डॉ. इमाम उल हक़ “जावेद”
♥
Return to Funny Poetry | Pinterest
<< Funny Shayri >>
*
Mein shikaar hun kisi aur ka mujhe mangta koi aur hai
Mujhe jis ne bakri bana diya, wo to bhediya koi aur hai
*
KaiN sardiyaN bhi guzar gai, magar us ke kaam n aasaka
Mein lihaaf hun kisi aur ka mujhe odhta koi aur hai
*
Mere ro’ab* mien to wo aagaya, mere samne to wo jhuk gaya
Mujhe laat kha ke huii khabar, mujhe peet’ta koi aur hai
ro’ab = daab/dhamki/dabdaba
*
Jo garajte ho wo baraste ho, kabhi aysa ham ne suna nahin
Yahan bhoonkta koi aur hai, yhan kaat’ta koi aur hai
*
Ajab aadmi hai ye “Qasmi” ise be qusuur hi janiye
Ye to dakiya hai janab-e-man, ise bhejta koi aur hai
*
Funny Poetry Urdu
Ye baat samajh mein aai nahin, aur ammi ne samjhaai nahin
Mein kaise meethi baat karun? jab meethi chizeN khaai nahin
Aapa bhi pakati hai halwa, wo aakhir kyun halwaai nahin?
Bhayya ki mngni hui hai kal, kyun dulhan kal mangwaai nahin?
Ye baat samajh mein aai nahin…….
Nani ke miyaN jab nana hai, Dadi ke miyaN jab dada hain
Tab mein ne puuchha aapa se, baaji ke miyaN ka kya bajaa hain?
Wo hans hans kar yun kehne lagi, ay bhai nahin ay bhai nahin
Ye baat samajh mein aai nahin…….
Jab naya mahina aata hai, bijli ka bill aajata hai
HalaNke badal bechara, ye bjli muft lutata hai
Phir ham ne apne ghar bijli kyun badal se lagwaai nahin?
Ye baat samajh mein aai nahin…….
Gar billi sher ki khala hai, phir ham ne use kyun pala hai?
Kya sher bohot na-laiq hai, khala ko maar nikala hai?
Yaa jangle ke raja ke yahaN, kya milti doodh malaai nahin?
Ye baat samajh mein aai nahin…….
Kyun lambe baal hai bhalu ke?, kyun us ki tind kraai nahin?
Kya wo bhi ganda bachcha hai? yaa us ke abbu, bhaai, nahin?
Ye us ka hairstyle hai? ya jangle mien koi naai nahin?
Ye baat samajh mein aai nahin…….
Jo taare jagmag karte hein, kya un ki chaachi, taai nahin?
Hoga koi rishta suraj se? ye baat hamen batlaai nahin
Par chaand ye kiska mamu hai? jab ammi ka wo bhaai nahin?
Ye baat samajh mein aai nahin, aur ammi ne samjhaai nahin
Mein kaise meethi baat karun? jab meethi chizeN khaai nahin