Akhtar Shumaar Shayari
Akhtar Shumaar : Bacha Kuchh Bhi Nahin
♥
Us ke nazdeek gham-e-tark-e-wafa kuchh bhi nahin
Mutmain aisa hai wo, jese hua kuchh bhi nahin
♥
Ab to haathon se lakeerain bhi miti jaati hai
Us ko kho ker to mere paas raha kuchh bhi nahin
♥
Kal bicharrna hai to phir ehd-e-wafa soch ke baandh
Abhi aaghaaz-e-muhabbat hai gaya kuchh bhi nahin
♥
Main to is waaste chup hoon keh tamaasha n bane
Tu samajhta hai mujhe tujh se gila kuchh bhi nahin
♥
Chaar din reh gaye maile mein magar ab ke bhi
Us ne aane ke liye khat mein likha kuchh bhi nahin
♥
Aye “Shumaar” aankhain isi tar’ha bichaaye rakhna
Jaane kis waqt wo aa jaaye, pata kuchh bhi nahin
♥
Poet: Akhtar Shumaar
♥






