Parody Poem
JaN Nisar Akhtar ki Khoob surat Ghazal:
Ash’ar mere yun to zamane ke liye hain
Kuchh shear faqat un ko sunane ke liye hain. Full Ghazal
Is zameen par Sayyid Randeri ki Parody poem hazir e khidmat hai.. Ummid karta hun aap tamam ise pasand farmaenge,
Parody Poem
Tasweer teri yun to zamane ke liye hai
Kuchh baat magar is mein chhupane ke liye hai
♥
Ye aankh n yun ashk bahane ke liye hai
Zalim ye kamaN teer chalane ke liye hai
KamaN = Kamaan / bow
♥
Dil shaad mera hai to padosan ke karam se
Bivi to faqat daal pakaane ke liye hai
♥
Begam jo kabhi pyar jataye to samajh lo
Ye daal mein kale ko chupane ke liye hai
♥
Ay sho’ala badan! tujh ko jo dekhega jalega
Ye husn teraa aag lagane ke liye hai
♥
Bal khaa ke jo aajaati hai rukhsaar pe tere
Ye zulf teri, jaal bichhaane ke liye hai
Rukhsar = Gaal / Cheeks
♥
Lagta hi nahin mujh ko ye “Sayyid” ki ghazal hai
Achchha hai ke ye sirf hansane ke liye hai
♥
Mazeed : kalam-e-Sayyid | Mazahiya | Fb Page





